Revolver Rani - Saawan Ki Aye Hawa Lyrics


Singer: Garima Aneja
Lyricist: Puneet Sharma
Music Director: Sanjeev Srivastava


Saawan ki aye hawa baawri
Chhed na tu to jaga baawri
Sawan ki aye hawa baawri
Ched na tu to jaga baawri

Aye ri aisi tees jaga yun
Ek dum se na aag laga tu
Dheere dheere jala baawri
Ho.. ho.. ho.. ho..
Ho.. ho.. ho.. ho..
Saawan ki aye hawa baawri O...

Kabhi tu gardan
Kabhi tu kardhan pe chho ke jaati hai
Nipat kameeni hai tu tujhko laaj nahi aati hai
Kabhi tu gardan
Kabhi tu kardhan pe chho ke jaati hai
Hmm.. ha ha ha.. na na na laaj nahi aati hai

Kahin se chal ek juhi laa de
Ya uski khushbu hi laa de
Aana mujhko saja baawri
Ho.. O... Ho.. O...
Saawan ki aye hawa baawri O...

[Badi akeli hai tu saheli
Kaam koi to kar de
Piya hai mera sehar mein uski
Khoj khabar laa kar de] (2 Times)

Itne mausam kyun naa aaya
Kahin saut to naa le aaya
Lagta to tha bhala baawri
Ho.. O... Ho.. O...
Saawan ki aye hawa baawri O...

Saawan ki aye hawa baawri
Chhed na tu to jaga baawri
Aye ri aisi tees jaga yun
Ek dum se na aag laga tu
Dheere dheere jala baawri
Ho.. O... Ho.. O...
Saawan ki aye hawa baawri O...

Hmm. hmm...



0 comments:

Post a Comment

 
Top