Kya Dilli Kya Lahore - Kaleje Mein Jo Lag Jaati Lyrics


Singer: Ustad Hamid Ali Khan
Lyricist: Gulzar
Music Director: Sandesh Shandilya


Kaleje mein jo lag jaati, to kya hota?
Kaleje mein jo lag jaati, to kya hota?
Bina dushman, akela reh gaya hota
Bina dushman, akela reh gaya hota

Tujhe tanhaayi khaa jaati
Tu pagal ho gaya hota
Tujhe tanhaayi kha jaati
Tu pagal ho gaya hota
Bina dushman, akela reh gaya hota
Bina dushman, akela reh gaya hota

Aai aai re..
Aai aai re..
Aai aai re..
Akela reh gaya hota

Akela kya karega koi sarhad ka..
Bina dushman na matlab ka, na maqsad ka
Akela kya karega koi sarhad ka..
Bina dushman na matlab ka, na maqsad ka
Lakeerein kheench kar
Tanha kabaddi khelta hota

Kaleje mein jo lag jaati, to kya hota?
Bina dushman, akela reh gaya hota
Kaleje mein jo lag jaati, to kya hota?
Bina dushman, akela reh gaya hota



0 comments:

Post a Comment

 
Top