Satyamev Jayate - Season 2 - Kaun Madari Yahan Kaun Jamura Lyrics


From: Satyamev Jayate - Season 2 (Episode 4)
Singer: Swanand Kirkire
Music Director: Ram Sampath
Lyricist: Swanand Kirkire


Dhitang titang, dhitang titang
Dab dab durrah..
Kaun hai madari yahan kaun jamura (2 Times)

Kursi pe jo betha usey main badshah samjha
Aur khud ko samajh betha main cheedi ka durra

Dhitang titang, dhitang titang
Dab dab durrah..
Kaun hai madari yahan kaun jamura

Seva ka waada karke woh meva kha gaya
(haa meva kha gaya re wo to meva kha gaya)

Raja woh khud bana mujhe pyada bana gaya
(pyada bana gaya mujhe pyada bana gaya)

Ho...
Mat bhadak mere dil, yun khud pe na ghurra
Tu hi tha nasamajh jo usey de diya turrah

Dhitang titang, dhitang titang
Dab dab durrah..
Kaun hai madari yahan kaun jamura (2 Times)

Janta ka hai ye tantar
Janta hi iska mantar
(Janta hi iska mantar
Janta hi iska mantar)

Janta hi raja parja madari or jamura
Ye desh hai swatantar, ye mulk hai swatantar

Ho.. Mujhko hi poora karna har kaam adhura
Ab pee ke na jhoome ab satta ka dhatura

Dhitang Titang, Dhitang Titang
Dab dab durrah
Kaun hai madari yahan kaun jamura (2 Times)



0 comments:

Post a Comment

 
Top